Wahi Parind Ke Kal Gosha Geer Aisa Tha
Palak Japakte Hawa Main Lakeer Aisa Tha
Palak Japakte Hawa Main Lakeer Aisa Tha
Hansi Ke Rang Buhat Mehroban The Lekin
Udasiyun Se Hi Nibhti, Khameer Aisa Tha
Udasiyun Se Hi Nibhti, Khameer Aisa Tha
Use To Dost Ke Hathoun Ki Soojh Boojh Bhi Thi
Khata Na Hota Kisi Toor, Teer Aisa Tha
Khata Na Hota Kisi Toor, Teer Aisa Tha
Payam Deene Ka Mosam Na Hum Nawa Pa Kar
Palat Gya Dabe Paon, Safeer Aisa Tha
Palat Gya Dabe Paon, Safeer Aisa Tha
Kisi Bhi Shakh Ke Peeche Panah Panah Lete Main
Mujhe To Todh Hi Leta, Shareer Aisa Tha
Mujhe To Todh Hi Leta, Shareer Aisa Tha
Tera Kamal Ke Paon Main Beediyan Dali
Ghazal w Shouq Kahan Ka Aseer Aisa Tha!
Ghazal w Shouq Kahan Ka Aseer Aisa Tha!
SHARE THIS GHAZAL!!
0 Comments ::
Post a Comment