Wo Jab Se Shehr e Kharabat Se Rawana Hua
Baraherast Mulaqat Ko Zamana Hua
Baraherast Mulaqat Ko Zamana Hua
Wo Shehar Chod Ke Jana To Kab Se Chahta Tha
Ye Nokri Ka Bulawa To Aik Bahana Hua
Ye Nokri Ka Bulawa To Aik Bahana Hua
Khuda Kare Teri Aankhien Hamesha Hansti Rahien
Ye Aankhien Jin Ko Kabhi Dukh Ka Hoosla Na Hua
Ye Aankhien Jin Ko Kabhi Dukh Ka Hoosla Na Hua
Kenar-e-Sihan-e-Chaman Sabz Beel Ke Neeche
Wo Roz Subah Ka Milna To Ab Fasana Hua
Wo Roz Subah Ka Milna To Ab Fasana Hua
Main Soochti Houn Ke Mujh Main Kami Thi Kis She Ki
Ke Sab Ka Ho Ke Raha wo, Bus Aik Mera Na Hua
Ke Sab Ka Ho Ke Raha wo, Bus Aik Mera Na Hua
Kise Bulati Hain Aangan Ki Champe Shamien
Ke Wo Ab Apne Naye Ghar Main Bhi Purana Hua
Ke Wo Ab Apne Naye Ghar Main Bhi Purana Hua
Dhanak Ke Rang Main Saari To Rang Li Main Ne
Aur Ab Ye Dukh, Ke Pihan Kar Kise Dekhana Hua
Aur Ab Ye Dukh, Ke Pihan Kar Kise Dekhana Hua
Main Apne Kanoun Main Beele Ke Phool Kyun Pehnoun
Zaban-e-Rang Se Kis Ko Mujhe Bulana Hua
Zaban-e-Rang Se Kis Ko Mujhe Bulana Hua
0 Comments ::
Post a Comment