Sitaron Se Aage Jahaan Aur Bhi Hain
Abhi Ishq Ke Imtihan Aur Bhi Hain
 
Beyond the stars are even more worlds
There are still even more tests of passion
 Tihi Zindagi Se Nahin Yeh Fazaayein
Yahan Sainkadon Kaaravaan Aur Bhi Hain
 
These expanses are not devoid of life
Here there are hundreds of other caravans too
 Qanaa'at Nah Kar Aalam-e-Rang-o-Bu Par
Chaman Aur Bhi, Aashiyaan Aur Bhi Hain!
 
Don't be contented with the world of color and scent
There are other gardens, other nests (resting places), too
  Agar Kho Gaya Ek Nasheman Tho Kya Gham
Muqaamaat-e-Aah-o-Fughaan Aur Bhi Hain!
 
If a nest (home) was lost, what's the [cause of] grief?
There are other places for sighing and lamenting
  Tu Shaaheen Hai, Parvaaz Hai Kaam Tera
Tere Saamne Aasmaan Aur Bhi Hain
 
You are a falcon, your task is to fly
Before you there are other skies as well to cover
  Isi Roz-o-Shab Mein Ulajh Kar Nah Rah Jaa
Kih Tere Zamaan-o-Makaan Aur Bhi Hain
 
Don't remain entangled, in this day-and-night
For you have other times-and-places too
Gaye Din Ke Tanhaa Thaa Main Anjuman Mein
Yahaan Ab Mere Raaz-Daan Aur Bhi Hain!
 
The days are gone when I was alone in the gathering
Here, now, I have other secret-sharers too

0 Comments ::

Post a Comment