Tamaam Raat Mere Ghar Ka Aik Dar Khula Raha By Parveen ShakirTamaam Raat Mere Ghar Ka Aik Dar Khula Raha Main Raah Dekhti Rahi, Woh Rasta Badal Geya
Tamaam Raat Mere Ghar Ka Aik Dar Khula Raha
Main Raah Dekhti Rahi, Woh Rasta Badal Geya
Woh Sheher Hai Ke Jadugarniyon Ka Koi Des Wahan To Jo Geya Kabhi Laut Kar Na Aasaka
Woh Sheher Hai Ke Jadugarniyon Ka Koi Des
Wahan To Jo Geya Kabhi Laut Kar Na Aasaka
 Main Wajah-e-Tark-e-Dosti Ko Sun Ke Muskurayi To Woh Chaunk Utha, Ajab Nazar Se Mujh Ko Dekhne Laga
 Main Wajah-e-Tark-e-Dosti Ko Sun Ke Muskurayi To
Woh Chaunk Utha, Ajab Nazar Se Mujh Ko Dekhne Laga
 Bichar Ke Mujh Se, Halaq Ko Aziz Ho Geya Hai Tu Mujhe To Jo Koi Mila, Tujhi Ko Puchta Raha
 Bichar Ke Mujh Se, Halaq Ko Aziz Ho Geya Hai Tu
Mujhe To Jo Koi Mila, Tujhi Ko Puchta Raha
Woh Dilnawaaz Lamhe Bhi Gayi Ruton Mein Aye Jab Main Khawb Dekhti Rahi, Woh Mujh Ko Dekhta Raha
Woh Dilnawaaz Lamhe Bhi Gayi Ruton Mein Aye Jab
Main Khawb Dekhti Rahi, Woh Mujh Ko Dekhta Raha
 Woh Jis Ki Ek Pal Ki Be’rukhi Bhi Dil Ko Haar Thi Usey Khud Apne Hath Se Likha Hai, Mujhe Bhool Ja
 Woh Jis Ki Ek Pal Ki Be’rukhi Bhi Dil Ko Haar Thi
Usey Khud Apne Hath Se Likha Hai, Mujhe Bhool Ja
Damak Raha Hai Aik Chaand Se Jabee’n Pe Ab Talak, Gurez’paa Mohabton Ka Koi Pal Theher Geya..
Damak Raha Hai Aik Chaand Se Jabee’n Pe Ab Talak,
Gurez’paa Mohabton Ka Koi Pal Theher Geya..
SHARE THIS GHAZAL!!

0 Comments ::

Post a Comment